Sunday, 26 August 2012

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai


Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai


Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay
Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay
Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay


Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai


Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay
Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay
Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay
Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay


Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai


Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya
Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya
Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya
Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya


Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai


Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara
Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara
Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara
Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai


Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya
Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya
Burr`haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya


Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala
Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala


Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi
Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi
Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi
Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi


Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai


Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko


Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai


Burr`hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi
Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi
Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi
****** Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi


Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar
Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar
Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar
Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar


Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai