Nisf Sadi Hone Ko Aaei
Mera Ghar Aur Meri Basti
Zulm Ki Aag Mein Jal Jal Rakh Mein
Dhalte Hain
Mere Log,Mere Bache
Khuwabon Aur Sarabon Ke Ik Jaal Mein
Uljhe
Kat'te Marte Jate Hain
Charon Janib Lahoo Ki Daldal Hai
Gali Gali Tazeer Ke Pehre,Koocha
Koocha Maqtal Hai
Aur Yeh Dunya
Aalamgeer Akhuwat Ki Taqdees Ki
Pehredar Yeh Dunya
Hum Ko Jalte,Kat'te,Marte
Dekhti Hai Aur Chup Rehti Hai
Zor Aawar Ke Zulm Ka Saya Pal Pal
Lamba Hota Hai
Wadi Ki Har Sham Ka Chehra Khoon Mein
Lithra Hota Hai
Lekin Yeh Jo Khoon-E-Shaheedan Ki
Shamen Hain
Jab Tak In Ki Loien Salamat
Jab Tak In Ki Aag Farozan
Dard Ki Aakhri Had Pe Bhi Yeh Dil Ko
Sahara Hota Hai
Har Ik Kali Raat Ke Peeche Ek Sawera
Hota Hai
Poet: Amjad Islam Amjad
No comments:
Post a Comment